Saturday, April 11, 2009

Bit Ka Bachpan...those were the best days of our lives

Aaj zindagi ke 21 saal poore hone ko hai,
reh rehke yaad aane lagta hai bachpan apna,
aur jab 3 saal college ke poore ho rahe hai..
to BIT Ka Bachpan bhi bahut yaad aata hai!!


kuchh yaadein,kuch baatein:

raat bhar baithke kisi se ek choti si baat poochna,
kabhi kisi se uske pyar ka naam jaan lena
to kabhi us anamika ke baare mein hi baaten karna,
wo humare sawal,humare jawab kahaa kho gaye hai,
wo din jab IIT ki taiyyari karne se isliye inkar kar diya
ki apne dosto se door jaana manzoor nahi tha,
vacation bhi aaye gaye lekin,
laga maano koi kisi se ek pal ko bhi door nahi tha...

chhat par baithe chand ko nihaarna,
saath mein aasmaa ke sitaaro ko ginna,
wo hi chhat tha jahaan kisi ne pehli baar
apne dil ka sunehra raaz khola tha,
jahaa maine college mein pehli kavita likhi thi,
jahaa humne bina kahe kai baar kitna kuchh bola tha,
kyon us unchayi ko ab sab saath milke chhote nahi hai,
lagta hai jaise...tab ka chand aur tha,ab ka chand aur hai....


yaad aate hai dosti mein choor wo din,
jab sprite bhi nashe ka kaam kiya karti thi,
ek duje ke prati vishwas hilta nahi tha,
duniya hume laakh badnaam kiya karti thi,
wo pal jahaa masti ne bhi jaana hoga
ki wo bhi kabhi itni mast ho sakti hai,
ab na to wo (tabrez) aalam hai na wo maahol,
mere budhape ka,meri gareebi ka mazaak ab bhi banta hai,
par ek zamaana guzar gaya,
jab sabne saath milke mera mazak udaya ho....


85 mein baith raat bhar ki huyi GPS ki bauchaare,
61 mein jo shaam humne emergency light mein guzare,
sirf wo 85 aur 61 humse alag nahi hua
wo shaame,wo raatein bhi humse juda ho gayi hai,
bahut waqt hua,bina invitation kisi party mein hum nahi gaye,
partiyaan khatm ho gayi hai..ya "hum" khatm ho gaye hai,
ab akhiri exam ke baad laptop humara saathi hota hai,
har dost apne dukh mein ab akele hi rota hai...


kahin saal bhar se baat nahi huyi hai,
to kahin chaar maheene se nazar nahi mili,
kuch baatein thi,kuch takrare thi,kuch mudde they,
par sab kitne bachkaane lagte hai apni dosti ke aage,
doodoomba ki awaaz dekho kamzor pad rahi hai,
dooriyan jaise roz zara aur bad rahi hai,
aaj agar wo purane din na laute,
to yakeenan kal fir kabhi nahi aayenge...

dil tadap ke reh jaata hai,
par kabhi kabhi mere dil mein khyaal aata hai...
ki shayad...shayad...
is janmdin par zindagi ek khaas tohfaa de mujhko,
aur main bhi gaurav ke saath keh sakoon,
Bit Ka Bachpan abhi guzraa nahi hai :)